Showing posts with label Shayiri. Show all posts
Showing posts with label Shayiri. Show all posts

Saturday, January 5, 2013

Bekasoor

Hum peete nahi, magar pilate zaroor hein.
Humare bagair har mehfil benoor hai..
Mahshoor toh hum hein hi,
Koi dil haare toh, humara kya kasoor hai?

Monday, December 17, 2012

Kahin koi patthar aansu bahate hein..

Humne bhi ek dil ko toda hai..
Humne bhi ek dil ko toda hai..
Andhere mein tute dil keliye aansu bahaaya hai..

Voh toh phool hein unhe yeh keh nahi sakte..
Nazook dil hai unhe tarsa nahi sakte..
Sambhalna chahe magar, dard de nahi sakte..
Uljhan tha kathin, hum yaad mein roya karte..

Unse kahin mile toh ye batana hai..
Kabhi phool bhi dukh dete hein..
Aur kahin koi patthar aansu bahate hein..
Aise mushqilon mein kabhi hosh kho jaata hai..

Thursday, April 21, 2011

Ansu jo tere yaad mein gire, unka mol chukayega kaun?
Hum tadapte, dil thaam ke baite hein, manayega kaun?
Tumhe itni laaparwahi hai toh,
Tumne jo gham diye, use bhulayega kaun?

Monday, November 22, 2010

Nazar

Khamosh nazre hein, aapki, hazaro baten karti hein.
Unginat sapne hein, meri, pal mein pigal jate hein.
Aapko taras ati hogi, mujhe dekhke,
Magar na jane kyun,
Aapki ankhe toh pyar ka bayan karte hein.

Thursday, September 23, 2010

Dard

'Dard hum kisi se yun baantte nahi hein.
Dil kabhi roye toh, batate nahi hein.
Kis se kabhi kya kahen, jab,
Koi dusre ke liye aansu bahate nahi hein.’

Monday, June 2, 2008

Kismat (Hindi)

Hamari kismat ka bhi kya kehna,
Jinhone hume phool diye, unhe hum kante hi de sake.
Jinhone hume kante hi de sake, bhala unhe hum phool kyun diye?